liabilities kya he in tally (noncurrent liabilities)


Liabilities kya he tally Accounting
Liabilities ka hindi me meaning hota he. “dayitw” or “jimmedari” jise humne pura karna ya nibhana hota he.
Is tarah se Tally Basic Accouting me Liabilities hoti he.  yani Liabilites mean business me esi jimmedari jiska bhugtan  karna hota h

 Example :- loan from bank, debenture, creditor, capital

Capital kya he?

Capital mean hindi me “poojin” hota he. yani ki capital mean wah rashi jise business ka founder(malik) business start karne ke liye company me lagata he. ye capital founder ki apni money bhi ho sakati he or total assets Ki amount Ke barabar bhi ho sakti he

Kaise Capital tally Accounting me ek Liabilities he?

Dosto hum is topic ko ek Example se acchi tarah se samaj sakte he.
“A” ek business start karta he cloth sale shop ka. Yaha per cloth sale shop ek company he jiska naam he “ AC shop” to dosto company ka naam ho gaya “AC Shop” or company ke founder ka naam ho gaya “A”.
 “A” ne business start karke Amout 1 lakh ki capital apne compay “AC Shop” me lagayi he.

kyo ki hume pata he. ki “A” or “AC shop dono agal agal he. jo yaha per business me “AC Shop” ki laibilites banti he ki wah company  ke founder “A” ko 1lakh ka bhugtaan kare.

Tally Accounting me Liabilities ko 2 type me divided kiya gaya he.

Non Current Liabilities    2. Current Liabilities

Non Current Liabilities kya he.

Noncurrent Liabilities:-  business me esi Liabilities jinka bhugtaan 12month ya 1year se jyada time me karte he we Liabilities Noncurrent Laibilies he. Tally me hum use loans (Liability) Ke naam se jante he

Noncurrent Liabilities ke Example

Example:- 1.Loan from Bank 2.debenture 3.Long term Loan

Loan from Bank kya he.

Business ke liye Bank se loan lena and uska bhugtaan Bank ko 1year bat Bank ko karte he. Is tarah se Bank from Loan liabilities hoti he.

Long term Loan kya he.

Is tarha se wah Loan long time ke liye bank se lete he. like us Bank se humne loan liya jiska bhugtaan hume 5year time tak karna he.

Debenture kya he?

Debenture ka hindi me meaning “udhar patr” or “rin patr” hota he. jab dosto company ka founder kisi or company se loan lene jata he. to  wah company apko bond fill up karkar ek debenture issue karati he. Jiska bhugtan kiya jata he.
 Dosto Noncurrent Liabilities ko long term Liabilities bhi kaha jata he.

6 टिप्‍पणियां:

ham jald hi apko replay karenge